fana hua to main tar-e-nafas mein laut aaya khusha ki ishq teri dastaras mein laut aaya na jaane us ne khule aasman mein kya dekha parinda phir se jahan-e-qafas mein laut aaya kisi ke jabr mein kitna tha ikhtiyar mujhe bura kiya ki jo main apne bas mein laut aaya ye hashiye tere gumrah kar rahe the mujhe kitab-e-zist so main tere nas mein laut aaya wo dil-kharash tha aainda sal ka manzar main ulte panw guzishta baras mein laut aaya