iztirab aisa hua dil ka sahaara mujh ko koi thahraw nahin khud mein gawara mujh ko sar uthati hai wo tajdid ki khwahish mujh mein naqsh-gar sochne lagta hai dobara mujh ko main tahi-dast khada tha sar-e-sahra-e-hayat aarzu ne teri yak-lakht pukara mujh ko ja pahunchna kisi rifat ko nahin hai dushwar han! thaharne ka wahan chahiye yara mujh ko dekh ai meri zabun-haali pe hansne wale waqt ki dhup ne kis darja nikhaara mujh ko ek kankar sa mozahim mein rahunga kab tak le hi jaega baha kar koi dhaara mujh ko waqt ne jaane banana hai mujhe kya 'sarim' gardish-e-chaak se ab tak na utara mujh ko