fana ke raste par gamzan hain hum mere hamdam sanbhal kar panw rakkhen ab hai sham-e-gham mere hamdam andhere mein nikalna hai talash-e-nur mein tujh ko kabhi lau ho na tere dard ki maddham mere hamdam guzarti ja rahi hai umr sari fikr-e-duniya mein kabhi ho fikr-e-farda mein nigah pur-nam mere hamdam riya ki hukmrani har taraf hai tu bhi ab dikhla yahan ikhlas ki shamshir ka dam-kham mere hamdam charagh-e-ilm-o-fan tera agar raushan rahe yunhi na hoga jalwa-e-fikr-o-nazar bhi kam mere hamdam hawa baatil ki phir ab sansanati hai zamane mein hirasan kyon hai tu rakh kar yaqin mohkam mere hamdam teri yaadon ka parcham jab bhi lahraata hai aankhon mein teri qurbat bhula deti hai haal-e-gham mere hamdam