phir dhyan mein biti hui yaadon ka safar hai phir kucha-e-jaanan ki taraf dil ka guzar hai go qaht hai sayon ka yahan dhup ke ban mein khwabon ki ghani chhanw bhi aankhon mein magar hai rutha hua hai mausam-e-ikhlas jahan bhi chahat ka wahin ped bhi be-barg-o-samar hai har gam pe kyon khauf na ho tera safar mein mahrum ujalon se dilon ka bhi nagar hai kya hogi tar-o-taza koi shakh-e-tamanna shadab abhi tak wahi ek gham ka shajar hai