fani kahan hai hasti-e-fani ka shor bhi shamil hai is mein naql-e-makani ka shor bhi hassas hun aur is pe wo shiddat ki pyas hai sunta hun ab sarab mein pani ka shor bhi aisa sukut tha ki sunai diya mujhe harf-e-tahi mein mauj-e-maani ka shor bhi be-barg-o-bar ped se rahte hain dur dur rah-gir bhi hawa-e-khizani ka shor bhi khakistar-e-badan mein sulagti hai koi chiz bujhta nahin abhi ye jawani ka shor bhi teri ghazal padhi to ye jaana 'rafiq'-raaz pani ke shor mein hai rawani ka shor bhi