jo zakhm lage hain mere dil par nahin dekha tum ne mera haal-e-dil-e-muztar nahin dekha aankhon mein to barbaadi-e-gulshan ka tha manzar phulon ki taraf aankh utha kar nahin dekha taqdir mein the hi nahin aaram ke lamhe ghurbat mein kati umr kabhi ghar nahin dekha shayad koi diwana nahin aaj sar-e-rah hathon mein kisi tifl ke patthar nahin dekha katra ke guzar jati hai jis dar se masarrat nadar ka tum ne kabhi wo ghar nahin dekha maujon ke thapedon se na hoga kabhi waqif jis ne kabhi dariya mein utar kar nahin dekha thin manzil-e-farda ki taraf meri nigahen mazi ki taraf main ne palat kar nahin dekha 'masum' kahun kis se mohabbat ka fasana ek khwab tha jo main ne mukarrar nahin dekha