faqat ek lafz hun tanha agar tafsil ho jaun sanwar jaun

faqat ek lafz hun tanha agar tafsil ho jaun sanwar jaun
abhi to khak hun main khak mein tahlil ho jaun sanwar jaun

abhi tak shakhsiyat ek na-mukammal khwab jaisi hai adhuri hai
kisi din moajiza ho aap hi takmil ho jaun sanwar jaun

mujhe shab ke andheron mein abhi kitna jhulasna hai samajhna hai
magar jalte hue yunhi kabhi qindil ho jaun sanwar jaun

bhatakta hun tere didar ki khwahish liye aksar kinaron par
tamanna hai teri aankhon ki gahri jhil ho jaun sanwar jaun

main sang-e-mil ke lahje mein sab se baat karta hun so rasta hun
agarche manzilon ki shakl mein tabdil ho jaun sanwar jaun

shajar aankhon se ojhal na kisi diwar ka saya nazar aaya
khudara ab kisi baadal ki hi tamsil ho jaun sanwar jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close