main dushmani hun mohabbat hun ajnabi hun main

main dushmani hun mohabbat hun ajnabi hun main
yahi subut hain mere ki aadmi hun main

bujha sakega na mujh ko tamam aab-e-jahan
miyan-e-dasht bahattar ki tishnagi hun main

mera khayal meri soch hai kitab meri
khuda-e-fikr ka bheja hua nabi hun main

nigah ki na khilaf-e-shariat-e-adabi
kisi ke husn-e-ghazal par ki muttaqi hun main

mere khayal se raushan hai koh-e-tur-e-adab
uden na hosh to dekho wo raushni hun main

mujhi se bolna sikha hai gunge harfon ne
main ruh-e-nutq hun lafzon ki zindagi hun main

luta raha hai mazamin-e-nau ke jo ambar
zamana kahta hai 'kazim' wahi sakhi hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close