faqat ek shaghl bekari hai ab baada-kashi apni wo mahfil uth gai qaem thi jis se sarkhushi apni khuda ya na-khuda ab jis ko chaho bakhsh do izzat haqiqat mein to kashti ittifaqan bach gai apni bas ab guzrenge rah-e-zindagi se be-niyazana agar tere karam par munhasir hai zindagi apni bahut ji chahta hai ye faqat naqs-e-basarat ho badi surat se duniya kho rahi hai dilkashi apni khamoshi par bhi hai un ko guman arz-e-tamanna ka zaban-e-haal se kuchh kah gai waraftagi apni agar tum hans diye ahwal-e-dil par kya tajjub hai ki main khud bhi ba-mushkil zabt karta hun hansi apni hui hain barishen sang-e-malamat ki bahut lekin rahe waz-e-junun qaem hai shorida-sari apni