baad muddat jo main ai charkh-e-kuhan yaad aaya kya sitam koi naya mushfiq-e-man yaad aaya sher kahta tha ki mazmun-e-dahan yaad aaya ek muamma ye dam-e-fikr-e-sukhan yaad aaya ahl-e-duniya ko kisi din na hui fikr-e-adam kya musafir hain ki jin ko na watan yaad aaya dekh kar abr-e-bahaari meri nisbat badli sehn-e-gulshan mein dil-e-tauba-shikan yaad aaya rishta-e-jaan mein girah pad gai uljhan ke sabab dil ko jab gesu-e-pur-pech-o-shikan yaad aaya pa ke sar-chashma-e-haiwan jo phir aaya ulta kya 'sikandar' ko tera chah-e-zaqan yaad aaya mit gai dil ke na hone se wo daghon ki bahaar ai 'nazar' waqt-e-khizan hum ko chaman yaad aaya