faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta jahan bachche nahin hote wo ghar achchha nahin lagta mere dukh tak mere khun aur pasine ki kamai hain tumhein kyun meri mehnat ka samar achchha nahin lagta shikasta satr chahe rang-o-bu-e-pairahan thahre kisi surat mujhe ijz-e-hunar achchha nahin lagta mayassar ho na jab tak bu-e-taza-tar ki hamrahi hawa ki tarah galiyon se guzar achchha nahin lagta rah-e-tesha-talab teri main wo diwar hun jis ko na ho shoridgi jis mein wo sar achchha nahin lagta gali mein khelte bachchon ke hathon ka main patthar hun mujhe is sahn ka khali shajar achchha nahin lagta chamakta hun har ek mahtab-ru ke ru-e-raushan mein main suraj hun mujhe shab ka safar achchha nahin lagta jise dekhen wahi phir dekhne ki aarzu thahre jise chahen wahi bar-e-digar achchha nahin lagta isi khatir use 'tabish' uchakna chahta hun main mujhe talab ki tah mein qamar achchha nahin lagta