tu kya jaane teri babat kya kya socha karte hain aankhen munde rahte hain aur tujh ko socha karte hain dur talak lahren banti hain phailti hain kho jati hain dil ke basi zehn ki jhil mein kankar phenka karte hain ek ghana sa ped tha barson pahle jis ko kat diya sham dhale kuchh panchhi hain ab bhi mandlaya karte hain aksar yun hota hai hawaen thattha mar ke hansti hain aur khidki darwaze apna sina pita karte hain tu ne basai hai jo basti us ki baaten tu hi jaan yan to bachche ab bhi amman abba khela karte hain