faqat takmil-e-maqsad kar raha hun main apne aap ko rad kar raha hun parkhache kar ke aap apni ana ke main khud ko kar-amad kar raha hun bhula kar dard ki gaddi-nashini tere pahlu ko masnad kar raha hun meri mansha ko khatir mein na lao main kab se to radd-o-kad kar raha hun tujhe yaksar bhula dala hai yani tujhe main yaad behad kar raha hun bura jo kah raha hun khud ko 'rashid' main apni hi khushamad kar raha hun