wo bekali hai koi rasta sujhai na de wo shor hai ki khud apni sada sunai na de main kya karunga bhala ja ke us bulandi par jahan se mera hi saya mujhe dikhai na de jo mujh ko dard ke andhe kuen mein phenk aae mere wajud ko wo karb-ashnai na de na jaane kaun hai mujh mein jo har ghadi mujh ko koi sujhao sa deta rahe dikhai na de 'jamil' waqt se aage nikal gae hum log zamana ab hamein ilzam-e-na-rasai na de