faqirana tabiat thi bahut bebak lahja tha kabhi mujh mein bhi hansta-khelta ek shakhs rahta tha bagule hi bagule hain meri viran aankhon mein kabhi in rahguzaron mein koi dariya bhi bahta tha tujhe jab dekhta hun to khud apni yaad aati hai mera andaz hansne ka kabhi tere hi jaisa tha kabhi parwaz par meri hazaron dil dhadakte the dua karta tha koi to koi khush-bash kahta tha kabhi aise hi chhai thin gulabi badliyan mujh par kabhi phulon ki sohbat se mera daman bhi mahka tha main tha jab karwan ke sath to gulzar thi duniya magar tanha hua to har taraf sahra hi sahra tha bas itna yaad hai soya tha ek ummid si le kar lahu se bhar gain aankhen na jaane khwab kaisa tha