shab-e-visal jo pahna tere badan ka libas tamam umr na bhaya kisi bhi tan ka libas ajib sang tarasha hai dast-e-qudrat ne tere badan pe qayamat hai bankpan ka libas hamein hai shauq tera makhmalin badan pahnen khafa hai hum se yun nargis ka nastaran ka libas main sher kahte hue bhi usi ko sochta hun basa hai us ki hi khushbu mein fikr-o-fan ka libas main us ke jism ke har zawiye ko bhanp gaya pahan ke aaya tha zalim ajab chalan ka libas wo surkh-posh zara der ko chaman mein gaya to ek lamhe mein phika pada chaman ka libas teri hi zat to mehwar hai shairi ka meri tere khayal ko deta hun main sukhan ka libas