faqiri mein ye thodi si tan-asani bhi karte hain ki hum dast-e-karam duniya pe arzani bhi karte hain dar-e-ruhaniyan ki chaakari bhi kaam hai apna buton ki mamlikat mein kar-e-sultani bhi karte hain junun walon ki ye shaistagi turfa-tamasha hai rafu bhi chahte hain chaak-damani bhi karte hain mujhe kuchh shauq-e-nazzara bhi hai phulon ke chehron ka magar kuchh phul chehre meri nigrani bhi karte hain jo sach puchho to zabt-e-arzu se kuchh nahin hota parinde mere sine mein pur-afshani bhi karte hain hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta ki hum daftar bhi jate hain ghazal-khwani bhi karte hain bahut nauhagari karte hain dil ke tut jaane ki kabhi aap apni chizon ki nigahbani bhi karte hain