dil ko sukun ruh ko aaram aa gaya maut aa gai ki dost ka paigham aa gaya jab koi zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya be-ikhtiyar lab pe tera nam aa gaya gham mein bhi hai surur wo hangam aa gaya shayad ki daur-e-baada-e-gulfam aa gaya diwangi ho aql ho ummid ho ki yas apna wahi hai waqt pe jo kaam aa gaya dil ke muamlat mein naseh shikast kya sau bar husn par bhi ye ilzam aa gaya sayyaad shadman hai magar ye to soch le main aa gaya ki saya tah-e-dam aa gaya dil ko na puchh marka-e-husn-o-ishq mein kya jaaniye gharib kahan kaam aa gaya ye kya maqam-e-ishq hai zalim ki in dinon aksar tere baghair bhi aaram aa gaya ahbab mujh se qat-e-talluq karen 'jigar' ab aaftab-e-zist lab-e-baam aa gaya