faqiron ka chalan yun jism ke andar mahakta hai meri pagdi bhi gir jae to mera sar mahakta hai wo apne hath mein ek phul bhi le kar nahin aaya magar jaise koi gulshan mere andar mahakta hai mujhe dekhe bina us ka kabhi chehra nahin khilta ajab khushbu ka jhonka hai mujhe chhu kar mahakta hai pari ki dastanon se moattar hai udhar aangan idhar salan ki khushbu mein rasoi ghar mahakta hai ye mana sab ke hathon mein yahan kashkol hai lekin yahi wo ganw hai har din jahan langar mahakta hai na jaane khwab ke tute khandar mein kaun aaya tha kabhi kamra mahakta hai kabhi bistar mahakta hai mere lahje mein ghulti ja rahi hai yun teri khushbu koi bhi aaina dekhun tera paikar mahakta hai saliqa yun bhatakne ka sikhaya hai faqiron ne jidhar se hum guzar jaen wahan ghar ghar mahakta hai na jaane ganw ke panghat mein 'sagar' kaun aaya tha abhi tak dekhiye talab ka patthar mahakta hai