faraaz-e-dar pe ek din saja ke dekh hamein hamin hain ahl-e-wafa aazma ke dekh hamein hum ek naqsh-e-mohabbat hain tere daman par mita sake to zamane mita ke dekh hamein hamein bujha ke andheron mein kyun bhatakta hai charagh-e-rah the hum phir jala ke dekh hamein tujhe bhulane ka wada to kar liya hum ne magar ye shart hai tu bhi bhula ke dekh hamein hum ahl-e-fan to shagufe hain rang o nikhat ke kisi gulab ki surat uga ke dekh hamein rula ke hum ko suna hai ki tu bhi rota hai hamare samne aa phir rula ke dekh hamein nazar na aaenge hum qahqahon ki mahfil mein jo dekhna hai to aansu baha ke dekh hamein hamare khwab-e-bahaaran ki aabru rakh le kisi kali ki tarah muskura ke dekh hamein har ek gham ko isi zid mein bhul jaunga wo kah rahe hain ki 'razmi' bhula ke dekh hamein