farar ke liye jab rasta nahin hoga to bab-e-khwab bhi kya koi wa nahin hoga ek aise shahr mein kuchh din thahar ke dekha jae jahan kisi ko koi jaanta nahin hoga wo baat thi to kai dusre sabab bhi the ye baat hai to sabab dusra nahin hoga yun is nigah ko apni kushada rakhte hain ki is ke baad kabhi dekhna nahin hoga jo tang hote gae qalb-ha-e-sina-maqam koi maqam maqam-e-dua nahin hoga koi zamin to hogi teri zaminon par hamare jaisa koi naqsh-e-pa nahin hoga