jab palak jhapke to manzar ka waraq ban jae hai dil mein kuchh aae nazar bahar nazar kuchh aae hai chup ka sidha ped hai bolo to jhukta jae hai hae chhune ki tamanna jo mujhe tadpae hai sardiyon ki lambi raaten odh kar so jae hai din ke suraj ke khayalon hi se dil garmae hai yaad ki khushbu se apne jism ko mahkae hai wo pari-paikar jo mere nam se sharmae hai har ghadi har aan bijli ki tarah lahrae hai meri kachchi kothari mein jhank kar rah jae hai zat ke ghaaron mein chhup kar hi koi bahlae hai raushni mein jism ki khwahish mujhe le aae hai chudiyon ki bansari par rag 'majid' gae hai ghup andhere mein sada us ki badan ban jae hai