farar khud se mujhe dam-ba-dam jahan ki tarah muhit mujh pe meri zat aasman ki tarah nigar-khana-e-dil mein hunut kar le mujhe ki reg-e-waqt pe hun main tere nishan ki tarah main apne khol mein mahbus misl-e-kirm-o-harir main apni qabr banata raha makan ki tarah na tum se dard ka shikwa na tum se shukr-e-karam ki khair-o-shar se ho tum mawara zaman ki tarah qadam qadam wo mere sath aur main tanha mile hain dost mere mujh se aasman ki tarah agar gila hai to hai khud se bewafai ka ki lahza lahza digar-gun hun main jahan ki tarah mere zamir mein aasuda waqt ke tufan wasia zarf mera bahr-e-be-karan ki tarah