khumar-e-shab mein tera nam lab pe aaya kyun nashe mein aur bhi the main hi ladkhadaya kyun main apne shahr ki har rahguzar se puchhta hun pada hua hai yahin wahshaton ka saya kyun koi to dard hai aisa jo khinchta hai use mere hi dil ki taraf laut kar wo aaya kyun kisi nigah ka main husn-e-intikhab na tha to zindagi ne mujhe hi phir aazmaya kyun kisi diye se gila bhi karen to kaise karen parae ghar ki munderon pe jagmagaya kyun mujhe sambhaal ke rakhna tha ai nigar-e-watan gali gali mein lahu ki tarah bahaya kyun main gir pada tha kahin bebasi ke aalam mein mujhe utha ke kisi ne gale lagaya kyun