fard-e-isyan ko wo siyahi de jis ki wo zulf bhi gawahi de be-aman nim-jaan hun meri jaan mujh ko aaghosh-e-jaan-panahi de apni zulfon ke sae mein mujh ko ek shab ki sitara-jahi de dil ke ujde nagar ko kar aabaad is dagar ko bhi koi rahi de main ne tamir qasr-e-shauq kiya tu ise muzhda-e-tabahi de bakhshne wale gul-rukhon ko jamal mujh ko saman-e-khush-nigahi de main asir-e-guman-e-zulmat hun etamad-e-sahar-e-nigahi de mujrim-e-ishq hun mujhe 'sahba' jo saza de wo be-gunahi de