jab wahime aawaz ki buniyaad se nikle ghabrae hue hum sukhan-abaad se nikle samton ka tayyun to sitaron se hua hai lekin ye sitare meri fariyaad se nikle main baith gaya khak pe taswir banane jo kibr the mujh mein wo teri yaad se nikle khud ko main bhala zer-e-zamin kaise dabaata jitne bhi khandar nikle wo aabaad se nikle dil pahuncha achanak hi tayaqqun ki faza tak sab wahm-o-guman ishq ki asnad se nikle main dars use ab koi deta bhi to kaise pahle se use sare sabaq yaad se nikle