fareb-e-aql mein majnun-e-ishq aa na saka bhula diya use aankhon ne dil bhula na saka farogh-e-husn se raaten wo jagmaga na saka harim-e-ishq mein jo sham-e-dil jala na saka bhula diya ho kabhi yaad kar ke mumkin hai magar main bhul ke tujh ko kabhi bhula na saka na dil mila na milin dil ki lazzaten us ko jo tere dard-e-mohabbat ko dil bana na saka diye jawab meri masiyat ke rahmat se hum us ko bhul gae wo hamein bhula na saka mujhe junun-e-mohabbat ne us jahan mein rakha ki jis jahan mein koi inqalab aa na saka guzar gaya hai mohabbat mein ek wo aalam bhi ki muddaton mujhe tu khud bhi yaad aa na saka tajalliyan use apni nazar jab aane lagin nigah-e-ishq mein phir husn bhi sama na saka udhar karishma-e-husn un ki pak-damani idhar ye haal ki iman koi bacha na saka quyud-e-ishq se shahid guzar gaya ho koi hudud-e-husn se lekin nikal ke ja na saka na ban gaya ho tera ishq-e-iztirab kahin tasalliyon se teri iztirab ja na saka guzar gai thi tere sath zindagi kuchh din phir us ke baad maza zindagi ka aa na saka hamesha dair-o-haram mein hain shorishen jis se wo inqalab kabhi mai-kade mein aa na saka tamam-umr ko jab ho gae the wo mere tamam-umr kabhi phir wo waqt aa na saka ajib chiz hai hasti ki nisti 'bismil' ki jo yahan se gaya phir kabhi wo aa na saka