jab jazba ek bar jigar mein aata hai phir sab apne aap hunar mein aata hai sab ki zad mein ek mera hi ghar hai kya roz naya ek patthar ghar mein aata hai kal mere sae mein us ki shakl dikhi manzar aise pas-manzar mein aata hai main tanha aata hun mahfil mein yaron baqi har insan lashkar mein aata hai lahja us ka har jaanib hai musallat yun wo banda har bar khabar mein aata hai dahshat us lamhe ki dil mein itni hai aksar hi wo lamha dar mein aata hai 'mit' sabhi ka sath yahan par deta hai jo koi bhi beach safar mein aata hai