fareb-e-hijr mein lamhe sabhi visal ke hain gae dinon ki mohabbat ye din malal ke hain gai ruton ke fasane abhi nahin bhule ye jitne khwab hain aaankhon mein guzre sal ke hain ye apna zarf hai khamosh ho gae hum log bahut jawab agarche tere sawal ke hain agarche wajh-e-aziyyat hain ab to yaaden bhi magar ye sare fasane usi jamal ke hain ye dhup chhanw ke manzar 'khayal' dekh zara ye sare aks usi zat-e-ba-kamal ke hain