satwen number ki surat wo bhi pur-asrar tha main sifar ki tarah sab kuchh tha magar be-kar tha har-nafas ab tak mere dil ki ajab haalat rahi maut se darta bhi tha jine se bhi bezar tha ek shanasa na-shanasai thi mere har taraf mera ghar mere liye to ghar na tha bazar tha meri barbaadi ka zamin dusra koi nahin main ki apne wahimon ka aap zimmedar tha jism hi kya ruh tak zakhmon se chhalni ho gai sans ka rishta na tha chalti hui talwar tha ab bhala hasil bhi kya hoga ba-juz sharmindagi kya kahun 'shadab' kis se barsar-e-paikar tha