fareb-e-husn hai duniya meri nazar ke liye nigah-e-ishq nahin husn-e-rahguzar ke liye qafas mein rah ke na rote agar ye jaante hum chaman mein rah ke bhi rona hai baal-o-par ke liye kisi jabin mein kisi dar ke waste bhi nahin meri jabin mein jo sajde hain tere dar ke liye meri nazar ko jo tarsa rahi thi apne liye teri rahi hai wo surat meri nazar ke liye na chaaragar ke liye mujh mein koi wasf-e-hayat na wajh-e-matam-e-marg aah nauhagar ke liye tamam-umr bhi guzre jo ban ke zulmat-e-shab karen na minnat-e-khurshed hum sahar ke liye khusha wo daur-e-mohabbat ki waqf ho jae jabin-e-husn mohabbat ke sang-e-dar ke liye zamana aankh se mujh ko gira ke bhul gaya ek ashk tha main zamane ki chashm-e-tar ke liye qubuliyat ko agar hain ibaadaten darkar gunah chahiyen rahmat ko dar-guzar ke liye kiya khayal na apna bhi kuchh meri khatir duaen ki hain sitaron ne bhi sahar ke liye chaman ne phul diye aur shafaq ne rang diya shuaen chand ne din teri rahguzar ke liye wo zindagi hai mohabbat ki jis ke zer-e-asar nafas nafas mein ho ek maut umr-bhar ke liye bala-e-ishq se bismil na rakh umid-e-najat dua-e-subh na kar sham-e-be-sahar ke liye