ye sannata hai main hun chandni mein maza bhi khub hai aawargi mein labon par muskurahat gal gile tera gham ghul gaya meri khushi mein zara si der ko khidki jo khole farishte ghumenge us ki gali mein ghadi ke pair thakte hi nahin kya ghadi ijad ki thi kis ghadi mein jo mitti ke banae the khuda ne ye aise log hai kuza-gari mein jo but-khane mein tujh ko soch len to bhatak jate hain rasta bandagi mein meri pahli mohabbat tum thi jaanan tumhein zinda rakhunga shairi mein