fareb-e-husn tera eatibar kar lenge

fareb-e-husn tera eatibar kar lenge
isi tarah se khizan ko bahaar kar lenge

hamara sath agar de gai hayat ai dost
to hashr tak bhi tera intizar kar lenge

hum ajnabi ki tarah teri bazm mein baithen
ye jabr hoga magar ikhtiyar kar lenge

karam ki bhik na mangenge hum zamane se
hayat sarf-e-gham-e-rozgar kar lenge

gulon se badh ke hasin honge rah mein kante
hamare panw ke chhaale jo pyar kar lenge

wo ham-safar hain agar ye guman bhi ho jae
rah-e-hayat ko hum khush-gawar kar lenge

abhi to apne hi daman se 'shauq' uljhe hain
kabhi tasawwur-e-daman-e-yar kar lenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close