fana kuchh nahin hai baqa kuchh nahin hai

fana kuchh nahin hai baqa kuchh nahin hai
faqat wahm hai ma-siwa kuchh nahin hai

mera uzr is ke siwa kuchh nahin hai
khata-kar hun aur khata kuchh nahin hai

na apne hue wo to mera muqaddar
zamane se mujh ko gila kuchh nahin hai

na puchho mohabbat ka hasil na puchho
pashemaniyon ke siwa kuchh nahin hai

khushi bhi musibat bhi rahat bhi gham bhi
jahan-e-mohabbat mein kya kuchh nahin hai

tha dushwar izhaar-e-dard-e-mohabbat
ye kya kam hai jo kah diya kuchh nahin hai

wo sunte the ahwal anjaan ban kar
yahi 'shauq' kahna pada kuchh nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close