fareb-e-nikhat-o-gulzar se bachao mujhe karam karo kisi sahra mein chhod aao mujhe wo jins hun main jise bik ke muddaten guzrin jo ho sake to kahin se kharid lao mujhe machal rahi hai nazar chhu ke dekhiye us ko simat raha hai badan hath mat lagao mujhe kisi tarah in andheron ki umr to kam ho jalane walo zara der tak jalao mujhe kisi pe apne siwa ab nazar nahin padti meri nigah se ai dosto bachao mujhe ye kis ki lash liye jate ho uthae hue kahin wo main to nahin hun zara dikhao mujhe bikhar chuka hun 'ali' main ghazal ke sheron mein bisat-e-ariz-o-lab se samet lao mujhe