jafaen hoti hain ghutta hai dam aisa bhi hota hai magar hum par jo hai tera sitam aisa bhi hota hai adu ke aate hi raunaq sidhaari teri mahfil ki maaz-allah insan ka qadam aisa bhi hota hai rukawat hai khalish hai chhed hai iza pe iza hai sitam ahl-e-wafa par dam-ba-dam aisa bhi hota hai hasinon ki jafaen bhi talawwun se nahin khali sitam ke baad karte hain karam aisa bhi hota hai dil-e-mahjur aakhir intiha hai har nahusat ki kabhi saden hote hain baham aisa bhi hota hai na kar shikwa hamari be-sabab ki bad-gumani ka mohabbat mein tere sar ki qasam aisa bhi hota hai na ho dard-e-judai se jo waqif us ko kya kahiye hamein wo dekh kar kahte hain gham aisa bhi hota hai buton ke milne-julne par na jaana ai dil-e-nadan badha kar rabt kar dete hain kam aisa bhi hota hai hamein bazm-e-adu mein wo bulate hain tamanna se karam aisa bhi hota hai sitam aisa bhi hota hai jagah di mujh ko kabe mein khuda-e-pak ne zahid tu kahta tha ki maqbul-e-haram aisa bhi hota hai hua karta hai sab kuchh ai 'asar' us ki khudai mein karen dawa khudai ka sanam aisa bhi hota hai