fareb-e-ulfat ki dastan mein asar ki ummid hi kahan hai abhi to mujh ko isi mein shak hai yaqin yaqin hai guman guman hai mujhi tak un ki jafa na samjho ye imtihan hai wo imtihan hai wahin qayamat ka samna hai wafa ki manzil jahan jahan hai nisab-e-ulfat se be-khabar hai sanad nahin bul-hawas ka dawa jo lafz meri zaban se nikle wahi mohabbat ki dastan hai kahan pahunch ki aarzu hai tumhaare naqsh-e-qadam pe chal kar tum apne dil se pata lagao meri tamanna ki had kahan hai fareb ban kar nashat-e-dil ka rahega kab tak ye aish-e-rafta badal chuka karwaten zamana meri nazar mein wahi saman hai idhar umangon ki lahar dil mein udhar jawani ki khud-numai pade hain ek kashmakash mein donon mazaq-e-fitrat ka imtihan hai tumhaari ghaflat-shiariyon ne wo gul khilae ki rang badla qafas ki buniyaad rakhne wale khizan ke qabze mein aashiyan hai palat gaya 'jurm' rukh hawa ka hain aise aasar ab huwaida bahaar aae na baad jis ke chaman mein wo mahshar-e-khizan hai