ba-har-surat thahar jaana padega agar raste mein mai-khana padega mohabbat mein sukun-e-dil ki khatir kisi din zahr bhi khana padega abhi manzil kahan ai zauq-e-manzil abhi to manzilon jaana padega na puchho mujh se wajh-e-be-qarari bhari mahfil mein sharmana padega kahan jaun main tere dar se uth kar palat kar phir yahin aana padega yahi pur-lutf ulfat ho to pukhta sarapa dard ban jaana padega hain kya dair-o-haram un ki talab mein khuda jaane kahan jaana padega tamanna-e-wafadari salamat unhen bhi hath phailana padega jawani aabru-e-zindagi hai ye daulat kho ke pachhtana padega samajh lo 'jurm' dastur-e-mohabbat zamane bhar ko samjhana padega