fareb-e-waqt na kar khud-sari ki baat na kar tu ek lamha hai mujh se sadi ki baat na kar musibat-o-gham-o-iflas-o-zillat-o-faqa ye zindagi hai to phir zindagi ki baat na kar amal ke daur mein naron se khelna hai gunah ye waqt hosh ka hai be-hushi ki baat na kar rah-e-haram hai purani hai mai-kade ki gali tu apni rah le meri gali ki baat na kar har ek ghunt pe lete hain rind nam-e-khuda ye mai-kada hai yahan gumrahi ki baat na kar abhi hai waqt umar tauba kar gunahon se khuda ka nam le baada-kashi ki baat na kar