dastan ishq ki anjam tak aa pahunchi hai baat ab hasrat-e-nakaam tak aa pahunchi hai jaane kya haal ho rindan-e-bala-nosh ka ab mai-kashi durd-e-tah-e-jam tak aa pahunchi hai baat phaili hai tere zulm ki shahron shahron dastan teri mere nam tak aa pahunchi hai jaane kis rah se laya hai mujhe zauq-e-talab justuju gardish-e-ayyam tak aa pahunchi ek nai subh ka bhi zikr hai aane wala guftugu waqt ki ab sham tak aa pahunchi hai shikwa-e-tishna-labi khair ho maikhane ki bhid ab saqi-e-gulfam tak aa pahunchi hai sochte kya ho umar aa ke qarib-e-manzil baat ab jurat-e-do-gam tak aa pahunchi he