fareb-e-yar ne chaunka diya tha

fareb-e-yar ne chaunka diya tha
hamein to pyar ne chaunka diya tha

hazaron sal thi us ki riyazat
bas ek inkar ne chaunka diya tha

fasilen ban gai thin chaar jaanib
ajab asrar ne chaunka diya tha

mohabbat ki hamein fursat nahin thi
jamal-e-yar ne chaunka diya tha

hum apne-ap mein gum ja rahe the
kisi guftar ne chaunka diya tha

jo ek aansu baha tha waqt-e-rukhsat
usi izhaar ne chaunka diya tha

bichhadte waqt us ne jo kaha tha
usi iqrar ne chaunka diya tha

wo dast-e-ghaib ban kar aa gae the
hamein aghyar ne chaunka diya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close