waqt qaem koi rishta nahin rahne deta mera gham kyon mujhe tanha nahin rahne deta tishnagi ghair ka ehsan uthati lekin mera aansu mujhe pyasa nahin rahne deta ab muqaddar mein kahan apni ziyarat karna tujh se ghafil koi lamha nahin rahne deta ghair ko apna banane de zamana kaise ye to apne ko bhi apna nahin rahne deta bap kar deta hai aulad ki khwahish puri zid magar bap ki beta nahin rahne deta tang-dasti ko samajhta hun ghanimat 'shaeq' warna yun chain se paisa nahin rahne deta