fareb-KHurda hain taham koi malal nahin

fareb-khurda hain taham koi malal nahin
hamare ishq ka maqsad tera visal nahin

main lad raha tha ba-hosh-o-hawas dushman se
ek aaina tha mere ru-ba-ru khayal nahin

koi umid kisi se na koi khwab-e-hasin
main phir bhi zinda hun kya ye mera kamal nahin

tamam umr ke lamhat hain tar-o-taza
meri nigah mein hail ye mah-o-sal nahin

har ek lamha hai akkas-e-ru-e-mustaqbil
dayar-e-shauq mein mazi nahin hai haal nahin

shikast-e-azm-e-safar ka jawaz mat dhundo
thaka hua hun main be-shak magar nidhaal nahin

har ek lamha sanwarta hai aaina-khana
main la-jawab nahin tu bhi be-misal nahin

ye daur sahib-e-ehsas pe giran hai bahut
yahan pe kaun hai insan jo khasta-haal nahin

ye iqtiza-e-usul-e-wafa hai ai 'shaariq'
bas un se ijz hi kije koi sawal nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close