fareb-rang na de jalwa-e-bahaar mujhe aziz-tar hain chaman mein gulon se khar mujhe meri khataon pe ye baz-purs malik-e-hashr ata hua tha kabhi dil pe ikhtiyar mujhe ye un ki yaad ye tufan-e-rang-o-bu tauba mili to dard mein dubi hui bahaar mujhe ab us maqam pe manzil hai dard-e-paiham ki ki har tadap mein mili lazzat-e-qarar mujhe chaman mein rah ke ye mahrumiyan muqaddar ki ki main bahaar ko dekha karun bahaar mujhe khuda kabhi na dikhae wo roz-e-bad 'qaisar' ki aae jalwa-e-baatil ka eatibar mujhe