jo khwab mein hua tha waqai na ho ki main pukarta rahun koi na ho charagh be-sabab to ro nahin rahe jo shab guzar rahi hai aakhiri na ho jise sukut-e-marg ka nishan kahen ye khamushi kahin wo khamushi na ho padi hui hai gard si jo waqt par ye chashm-e-khwab-zad se giri na ho mujhe ye hukm bhi suna diya gaya ki naw mein mere siwa koi na ho yaqin bhari-bahaar ka bhi kuchh nahin agar ye shakh-e-dard hi hari na ho mera moamla 'naim' aur hai agar teri nazar mein sarsari na ho