farebon se na bahlega dil-e-ashufta-kaam apna ba-zahir muskura kar dekhne wale salam apna kisi ki bazm ke haalat ne samjha diya mujh ko ki jab saqi nahin apna to mai apni na jam apna agar apne dil-e-betab ko samjha liya main ne to ye kafir nigahen kar sakengi intizam apna mukammal kar gaya jal kar hayat-e-gham ko parwana aur ek hum the ki afsana bhi chhoda na-tamam apna jahan-e-ishq mein aise maqamon se bhi guzra hun ki baz-auqat khud karna pada hai ehtiram apna main diwana sahi lekin wo khush-qismat hun ai 'mahshar' ki duniya ki zaban par aa gaya hai aaj nam apna