ab kahan us ki zarurat hai hamein ab akele-pan ki aadat hai hamein dekhiye ja kar kahan rukte hain ab teri qurbat se to hijrat hai hamein sans leti ek khushbu hai jise wird karne ki ijazat hai hamein dil-jazire par hai us ki raushni ek sitare se mohabbat hai hamein ab zara sargoshiyon mein baat ho mehrban lahje ki aadat hai hamein phir usi chaukhat ki dil ko hai tadap phir usi dar par sukunat hai hamein hum tahayyur khol denge aankh se ki mayassar teri qurbat hai hamein