fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishani thi ye aur kahani hai wo aur kahani thi ab dil mein raha kya hai juz hasrat-o-nakaami wo nish kahan baqi khud jis ki nishani thi jab dard sa tha dil mein ab dard hi khud dil hai han ab jo haqiqat hai pahle ye kahani thi pur-ab si rahti thin pahle ye meri aankhen han han isi dariya mein ashkon ki rawani thi ai chashm haqiqat mein duniya ko ye samjha de baqi bhi wahi nikli jo chiz ki fani thi bulbul ne to afsana apna hi sunaya tha gulshan ki kahani to phulon ki zabani thi yun ashk bahae the yun kin na thin fariyaaden ek baat chhupani thi ek baat batani thi sada nazar aata hai ab to waraq-e-daman ab tak mere daman par aankhon ki nishani thi 'bahzad' ka wo aalam bhi khub hi aalam tha 'bahzad' ki nazron mein har chiz jawani thi