phir koi mushkil jawan hone ko hai

phir koi mushkil jawan hone ko hai
doston ka imtihan hone ko hai

jhonke dam sadhe khade hain chaar-su
koi hangama yahan hone ko hai

bhig jaane par bhi jo bujhta na tha
aaj wo shoala dhuan hone ko hai

ye bahaaren aur gul bute nidhaal
fasl-e-gul daur-e-khizan hone ko hai

zindagi se kijiye ummid kya
zindagi khud raegan hone ko hai

zabt ka had se guzarna dekhiye
raaz aankhon se bayan hone ko hai

manzil-e-maqsud jab aai nazar
rahbar sang-e-garan hone ko hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close