farogh-e-dida-wari ka zamana aaya hai dilon ki be-khabari ka zamana aaya hai khirad se kah do ki tanha na kat sakegi ye rah junun ki ham-safari ka zamana aaya hai pahnao lala-o-nasrin ko taj kanton ka tilism-e-khush-nazari ka zamana aaya hai nawed di hai ye mahrumi-e-mohabbat ne dua ki be-asari ka zamana aaya hai nikhaar aane laga phir kharaba-e-jaan par ye kis ki jalwagari ka zamana aaya hai kaho saba se ye warafta-haaliyan chhode shuur-e-nama-bari ka zamana aaya hai kahan wo daur ki yak-guna be-khudi mangen surur-e-khud-nigri ka zamana aaya hai bahaar lai hai ab ke payam aur hi kuchh dilon ki bakhiya-giri ka zamana aaya hai sukut-e-nim-shabi se guzar chalo 'hurmat' ki nala-e-sahari ka zamana aaya hai